Indian Constitution Explained in Simple Words: History to Republic Day



Introduction :-

India aaj duniya ka sabse bada democracy hai, lekin yeh samajhna bahut zaroori hai ki

kis process se, kitne samay me aur kis soch ke saath

yeh democracy bani.

Jo Constitution aaj ka India follow karta hai,

uske baare me har Bharatiya nagrik ko basic jaankari hona zaroori hai.

Is poore system ke peeche ek strong aur visionary document hai —

👉 Bharat ka Constitution


Aksar hum dekhte hai ajkal students ko sirf itna bataya jata hai 

“Constitution 26 January 1950 ko lagu hua”

lekin kyon, kaise aur kis soch ke saath yeh bana — yeh bahut kam log samajhte hain.


संविधान क्या है? (What is Constitution)

Constitution sirf ek rule book nahi hai balki

Desh ko chalane ka moral + legal framework

Citizens ke Rights aur Duties ka likhit vaada

Government ki power aur uski limits ka clear structure hota hai 


Simple shabdon me:

👉 Constitution sarkar ko power deta hai par us power ko control bhi karta hai.


भारत के संविधान की आवश्यकता क्यों है?

1947 me azaadi milne ke baad India ko 3 bare challanges ka samna karna par raha tha 

1. British laws ab Indian logon ke liye suitable nahi the..!!

Desh me bahut zyada diversity thi :- 

alag-alag dharm

alag bhasha

alag culture

3. Sabse bada sawal :-

“Itne bade aur diverse desh ko ek saath kaise chalaya jaye?”


Isliye zarurat thi ek aise kanoon ki
jo sabko barabari, nyay aur suraksha de.


संविधान सभा (Constituent Assembly) ka gathan

Constituent Assembly bani : 1946

Total members: 389

Partition ke baad jo reh gaye: 299 members

👉 Is Assembly ka kaam tha :- 

1. Constitution likhna

2. Har issue par debate karna

3. Future India ki direction decide karna

4. Yeh sirf likhne ka kaam nahi tha,

5. yeh nation-building process tha.

Dr. B. R. Ambedkar ki bhoomika

Agar Constitution se ek naam sabse zyada judta hai, toh woh hai :- 

Dr. Bhimrao Ambedkar

Drafting Committee ke Chairman

Dalit aur marginalized communities ke rights ko strong jagah di

Equality before law ko backbone banaya

Caste discrimination ke khilaaf legal shield diya

Unka maanna tha:

“Political democracy tab tak adhuri hai jab tak social democracy na ho.”

Par kai aur logo ka bhi isme bara role tha kuch name detail samajhte hai :-

1. Dr. Rajendra Prasad
(President – Constituent Assembly)

👉 Role:
Constituent Assembly ke President the
Sabhi debates ko balance aur discipline me rakhne ke sath Different opinions ke beech consensus bhi banwaya..!!

📌 Important baat:
Baad me wahi India ke pehle Rashtrapati bane...!!

2. Jawaharlal Nehru
(Visionary & Objectives Resolution ke author)

👉 Role:
Objectives Resolution (1946) present ki
Isi resolution se ye ideas aaye:
Sovereign
Socialist
Secular
Democratic Republic

📌 Simple shabdon me:
Nehru ji ne Constitution ko vision diya — India akhir kaisa desh banega...!!

3. Sardar Vallabhbhai Patel
(Iron Man of India)

👉 Role:
Federal structure ko strong banaya
States aur Centre ke powers define karne me bada role nibhaya
500+ princely states ko India me merge karwaya..!!

📌 Agar Patel na hote: India shayad aaj ek united nation na hota.

4. Dr. B. N. Rau
(Constitutional Advisor)

👉 Role:
Constitution ka initial draft structure tayyar kiya,
World ke constitutions ka study karke best ideas bhi laaye,
Fundamental Rights ka framework suggest kiya..!!!

📌 Note: Dr. B R Ambedkar se pehle Rau ne groundwork tayar ki thi...!

5. Alladi Krishnaswamy Ayyar
(Legal Expert & Drafting Committee Member)

👉 Role:
Supreme Court aur Judiciary ke structure me bada contribution or Constitution ko legally strong aur practical banaya..!!

📌 Ye ensure kiya: Constitution sirf ideal nahi, workable bhi ho...!!

6. K. M. Munshi
(Freedom Fighter & Thinker)

👉 Role:
Fundamental Rights ke strong supporter
Cultural aur educational rights par focus
Article 44 (Uniform Civil Code) ka concept push kiya..!!

7. Hansa Mehta
(Women Rights Voice)

👉 Role:
Women equality ke liye awaz uthayi
Gender-neutral language par insist ki
“All men are born equal” ko change karwaya: 👉 “All human beings are born equal”

📌 Is wajah se Constitution gender-inclusive bana...!!

8. T. T. Krishnamachari
(Strong Debater)

👉 Role:
Federalism par strong arguments diye
Centre ko powerful rakhne ka logic explain kiya sath hi Constitution ko political reality se joda..!!

9. Frank Anthony
(Minority Rights Representative)

👉 Role:
Anglo-Indian community ke rights protect karwaye or Minority safeguards ko strong banaya..!!

Ek Important Sach
👉 Constitution ek ek insaan ka kaam nahi tha
👉 299 logon ne milkar
👉 har line par debate karke
👉 yeh document banaya
Isi liye Bharatiya Constitution:
balanced hai
inclusive hai
aur aaj tak relevant hai..!!


संविधान banne me kitna samay laga?

Kaam shuru hua: December 1946

Poora hone me laga jo time :-

👉 2 saal, 11 mahine, 18 din

Yeh koi jaldi me likha gaya document nahi tha.

Har article par detail discussion,argument,voting

Sab kuch soch-samajh kar decide hua...


संविधान kab adopt hua?

📅 26 November 1949

Is din Constitution officially adopt hua

Lekin turant lagu nahi kiya gaya,

kyunki government ek symbolic date chahti thi...!!


26 January hi kyun chuna gaya?

Bahut kam log jaante hain 👇

📅 26 January 1930 ko

Indian National Congress ne

“Poorna Swaraj” ka declaration kiya tha..

Isliye 26 January choose ki gayi,,,

Taaki freedom struggle aur naye Constitution ka strong connection bane..!!


संविधान kab lagu hua?

📌 26 January 1950 finally  Isi din

India bana Republic

British Crown ka role completely khatam..!!


Citizens ko mile:

Fundamental Rights

Independent Judiciary

Elected Government

Isi wajah se:

🎉 26 January = Republic Day (Ganatantra Diwas)


Bharatiya Constitution ki khaas baatein :-

1. Duniya ka sabse lamba written Constitution

Originally:

395 Articles

8 Schedules

Aaj:

470+ Articles

12 Schedules

2. Fundamental Rights


Har citizen ko milte hain :-

Bolne ki azaadi

Dharm ki azaadi

Equality

Exploitation ke khilaaf protection


👉 Sarkar bhi bina wajah in rights ko cheen nahi sakti.

3. Fundamental Duties

Sirf rights hi nahi, farz bhi:

Desh ka samman

Constitution ka palan

Public property ki suraksha


4. Secular aur Democratic India

Koi state religion nahi

Har dharm ko barabari

Power ka source: people


Aaj ke time me Constitution kyun zaroori hai?

Aaj fake news badh rahi hai

power ka misuse hota hai

aam aadmi confused hota hai

Tab Constitution:

ek shield hai

ek guide hai

aur ek warning bhi:

“Power kabhi unlimited nahi hoti.”


निष्कर्ष (Conclusion)

Bharat ka Constitution sirf ek kitab nahi hai.

Yeh ek azaadi ki kurbaniyon ka result hai

future generations ke liye protection hai

aur yeh yaad dilata hai ki Desh sarkar se bada hota hai, aur nagrik sabse upar...!!

Comments

Popular Posts